Hyderabad Now – A Yadagiri Chary
Guzargaye WO din ab rahe
who sab kahan
Dekhte dekhte badalgaya har cheez yahan.
Doondne par bhi nahin milta woh jahan.
Jin ki yaadein tadpati hame har roz yahan.
Bangaya shaher ek concrete jungle.
Government ki policies ne kar diya ise
strangle.
pot holonse, drainage ke paanise, har tharaf phaili gandagise hai har roz struggle
Koi sonchta tod girane osmania
Koi tula hua hai mitane apni pyaari duniya
Roh e Hyderabad tadaprahi har pal
Sonchte hue guzure hue sunahare pal
Bacha kucha Jo bhi hai karna uski hifaazat
Ise me hai apni shahar ki barkat
Sheher e Hyderabad, mera sheher tu salamat rahe
Yahi duwa Karen ke hamesha zinda rahen
– A Yadagiri Chary